Paroles de Chalo Dayar -E-Nabi

Nusrat Fateh Ali Khan
Bigri howi banti hai her baat madine mein
Gharkhaar mohammad ki hai zaat madine mein
Chalo dyar e nabi ki janib, darood lub pe saja saja ker
Bahar lootein ge hum karam ki, dilon ko daaman bana bana ker
Chalo dyar e nabi ki janib
Chalo dyar e nabi ki janib
Do jahan ka bharam madine mein, hai karam he karam madine mein
Sir ke sajde to su-e-kaaba hai, hai dilon ka haram madine mein
Khatm hote hein aik he pal mein, sare dard o alam madine mein
Haar ashqon ke phol zakhmon ke, le ke jain ge hum madine mein
Sub jahanon ki likhte hein qismat, shah e loh o kalam madine mein
Meri saim yeh he tamanna hai, bus nikal jaye dum madine mein
Teg-o-tarap ko barhatay chale chalo, dil mein charagh-e-ishq barhate chale chalo
Us taajdar-e-husn ki tazeem ke liyeh, aakhon ko farsh-e-rah banate chale chalo
Chalo dyar e nabi ki janib chalo chalo
Chalo dyar e nabi ki janib chalo chalo
Chalo dyar e nabi ki janib, darood lub pe sajaa sajaa ker
Bahar lootein ge hum karam ki, dilon ko daaman bana bana ker
Na un ke jaisa sakhi hai koi, na un ke jaisa ghani hai koi
Wo bewanaon ko her jaga se, nawazte hein bula bula ker
Mein wo bhikari hoon jiss ki jholi mein koi husn-e-amal nahi hai
Magar wo ehsaan ker rahay hein khataein meri chupa chupa ker
Hai unko ummat se pyar kitna, karam hai rehmat shuar kitna
Hamare jurmon ko dho rahe hein, huzoor aanso baha baha ker
Yeh he asaas-e-amal hai meri, isi se bigri bani hai meri
Samay ko karam khuda ka, nabi ki naatein suna suna ker
Agar muqaddar mein ya-(wali?) ki, agar madine gaya mein khalid
Qadam qadam pe hazaaro sajde, karoon ga sir ko jhuka jhuka ker
Chalo dyar-e-nabi ki janib darood lab pe saja saja ker...
InterprèteNusrat Fateh Ali Khan
LabelEMI
Paroles ajoutées par nos membresParoles ajoutées par nos membres