Paroles de Ruk Pe Rehmat Ka

Nusrat Fateh Ali Khan
Aaa
Ya-Rub Batufail E Rasool Us Saqlain
Ya-Rub Fatahe Badr O Hunain
Isi Aane Mara Do Hissa Qundar Ara Saat
Neem E Ba Hasan Ba Bakhsh Neem E Ba Hussain
Jo Teri Rehmat Ka Munkir Ho Wo Mera Dil Nahi
Mangna Jiss Ko Na Aaye Wo Koi Sa'il Nahi
Ey Karam Parwar Karam Mere Gunahhon Per Na Ja
Rehm Ke Qabil Hoon Mein Insaaf Ke Qabil Nahi
Zubaan Per Jab Mohammad Mustafa Ka Naam Aata Hai
Bari Taskeen Hoti Hai Bara Aaram Aata Hai
Mohammad Mustafa Ka Naam Bhi Kia Ism E Aazam Hai
Jahaan Koi Na Kaam Aaye Wahaan Yeh Kaam Aata Hai
Allah Ki Hum Jalwagari Daikh Rahay Hein
Ya Husn O Jamal E Madani Daikh Rahay Hein
Jiss Waqt Parho Salle Alla Aale Mohammad
Samjho Ke Rasool E Arabi Daikh Rahay Hein
...Hargiz Na Ghuroor Say Ghazab Say Baitho
Darbar E Mohammad Mein Adab Say Baitho
Rukh Peh Rehmat Ka Jhoomar Sajayey
Qamli Walay Ki Mehfil Saji Hai
Rehmat Ka Jhoomar Saja'ay
Karam Bun Ker Wafa Bun Ker Sakha Bun Ker Ata Bun Ke
Khuda Ka Noor Utra Aasman Say Mustafa Bun Ker
Rehmat Ka Jhoomar Saja'ay
Rukh Peh Rehmat Ka Jhoomar Sajayey
Qamli Walay Ki Mehfil Saji Hai
Mujh Ko Mehsoos Yeh Ho Raha Hai
Unki Mehfil Mein Jalwagari Hai
(Aashiqo?) Tum Agar Chahte Ho
Ho Ziarat Dar-E-Mustafa Ki
Ho Ziarat Dar-E-Mustafa Ki
Ho Ziarat Dar-E-Mustafa Ki
Maza Tab Hai Ke Ub Yoon Hi Basar Ho
Haram Mein Shaam Taiba Mein Sahar Ho
Ibadat Ho To Itni Motabar Ho
Mera Sir Ho Nabi Ka Sung-E-Dar Ho
Dar E Aaqa Pe Aisay Jaan Nikle
Zubaan Per Naam Gumbad Per Nazar Ho
Meri Aahon Mein Ya-Rub Yeh Asar Ho
Yahaan Tarpoon Madine Mein Khabar Ho
Yoon Dar-E-Mustafa Ki Ho Ziarat Mujhe
Ho Dar-E-Mustafa Ki Ho Ziarat Mujhe
Ho Dar-E-Mustafa Ki Ho Ziarat Mujhe
Ho Dar-E-Mustafa Ki Ho Ziarat Mujhe
Ilahi Aarzo-E-Deeda-E-Purnam Nikal Ja'ay
Nikal Ja'ay Ma'aal-E-Koshish-E-Pai'ham Nikal Ja'ay
Bharosa Kiss Ko Hai Kia Janay Dam Kiss Dam Nikal Ja'ay
Ilahi Mere Dil Say Fikr-E-Pech-O-Kham Nikal Ja'ay
Mohammad! Ya Mohammad! Kehte Kehte Dam Nikal Ja'ay
Yoon Dar-E-Mustafa Ki Ho Ziarat Mujhe
Dar-E-Mustafa Ki Ho Ziarat Mujhe
Dar-E-Mustafa Ki Ho Ziarat Mujhe
(Aashiqo?) Tum Agar Chahte Ho
Ho Ziarat Dar-E-Mustafa Ki
Dil Ki Janib Nigahein Jhuka Lo
Samnay Mustafa Ki Gali Hai
...Meri Jholi Bhi Sirkar Bhar Do Aap Ne Sub Ki Jholi Bhari Hai
Meri Jholi Bhi Sirkar Bhar Do Aap Ne Sub Ki Jholi Bhari Hai
Meri Jholi Bhi Sirkar Bhar Do Aap Ne Sub Ki Jholi Bhari Hai
Meri Jholi Bhi Sirkar Bhar Do Aap Ne Sub Ki Jholi Bhari Hai
Woh Samaa Kaisa Zeeshan Hoga
Woh Samaa Kaisa Zeeshan Hoga
Woh Samaa Kaisa Zeeshan Hoga
Woh Samaa Kaisa Zeeshan Hoga
Ga'ay To Aur Bhi Laikin (Nata?) Arsh E Bareen Pochhe
Hareem-E-Naaz Mein Bus Rehmat-Ul-Lil-Alamin Pochhe
Shab-E-Mairaj Jab Wo Khaas Parde Ke Qareeb Pochche
Sada Parde Say Aati Thi Ke Aa Tum Say Kia Parda
Kaisa Zeeshan Hoga Woh Sama
Kaisa Zeeshan Hoga Woh Sama
Kaisa Zeeshan Hoga Woh Sama
Kaisa Zeeshan Hoga Woh Sama
Mehshar Mein Wohi Jins Khareedein Gai Mohammad
Jiss Jins Ka Koi Bhi Khareedar Na Hoga
Kaisa Zeeshan Hoga Woh Sama
Kaisa Zeeshan Hoga Woh Sama
Kaisa Zeeshan Hoga Woh Sama
Kaisa Zeeshan Hoga Woh Sama
Kaisa Zeeshan Hoga Woh Sama
Kaisa Zeeshan Hoga Woh Sama
Woh Samaa Kaisa Zeeshan Hoga
Jab Khuda Mustafa Say Kahay Ga
Ub To Sajde Say Sir Ko Utha Lo
Aap Ki Sari Ummat Bari Hai
Mujh Ko Fikr E Shafa'at Ho Kiyon Ker
To Kareemon Ka Saya Hai Sir Per
Ik Taraf Rehmat E Mustafa Hai
Ik Taraf Lutf E Maula Ali Hai
Rukh Pe Rehmat Ka Jhomar Saja'ay Qamli Walay Ki Mehfil Saji Hai...
InterprèteNusrat Fateh Ali Khan
LabelIUS
Paroles ajoutées par nos membresParoles ajoutées par nos membres